SOCH


 


hum khud ko agay barhne se rokte rehte he kyunke hum agay barhne ke consequences ki soch se hi darte rhete hen,  zindagi apko sab se pehle apka comfort zone dikhati hai take ap us comfort zone me settle hujaen or use nikalne ke bare me sochna bh apko galat lage , phir zindagi apko ‘go with the flow’ ka jumla ratwati hai take ap ko lage jo horha hai wo to hona hai or ye ke ap ise behtr krne keliye kuch nh krskte. phir ata hai ek aisa waqt jab ap in sab ko apna naseeb samjh ke beth jate hain, phir ap is pe rona bh galat smjhte he kyunke phir apko duniya ehsas dilati hai ke ap nashukre ban rhe hain jabke andr se ap bas ise behtr hone ki koshish me hote hain


zindagi me baaz auqat beshaq aise hote hen jaha aap ne chezo ko apni tarah mol ke dekh lia hota hai, lekin baz aise bh hote hen jaha apne unhe Allah ke nazariye se dekha hota hai phir apko samjh ata hai ke jis trha Allah dikhana charha tha wo to sabse Alaa tar thaa, or jab ap Allah ke nazariye se dekhna shuru krte hen phir wo apni Qudrat se apse sab krwaleta hai, apko us comfort zone se bh nikalta hai, apko apne liye behtar chun’na bhi sikhata hai, apke marjane ke khauf ko uski inteha par bh le jata hai take ap jeena seekhen, ‘kuch ho na jaye’ se lekr ‘kuch ho lene do’ tak ka safar bh dikhata hai, or bil akhir ye bh sikhata hai ke khauf ko khatam krne ka wahid zariya use face krna hai, use observe krna hai take jab agli bar kabhi ap khauf ka saamna kren  to apko yad rahe ke ye to kch nahi , khauf to wo tha jo mein peche chor aya. 


main is mahol ki pedawaar nahi banna chahti, mein chahti hun ke mera mahol meri paidawaar ho.
faisla karen ke ap kis trha ki zindagi chahte hain aur phir har us cheez ko naa kahen jo wesi nh hai

Comments

Popular Posts